Friday 5 August 2016

Aye Mere Watan Ke Logo Song Lyrics| Lata Mangeshkar | Aye Mere Watan Ke Logo



Aye Mere watan ke logo patriotic song lyrics - Aye Mere watan ke logon song was sung by Lata Mangeshkar on 26th January 1963 at  Ram Leela Maidan, just after the end of Sino-Indian war. This stunning patriotic song was penned by Pradeep. The then Prime Minister Pt.Jawaharlal Nehru and the huge crowd who were presented there became sad after listening the song “Aye Mere watan Ke logo”.  It’s a very nice composition of C. Ramachandra for the movie ‘Aye Mere watan Ke logo’.


Follow the lyrics of Aye Mere Watan Ke Logo

Aye mere watan ke logon
Tum khub lagaa lo nara
Ye shubh din hai hum sab ka
Leharaa lo tiranga pyara
 
Par mat bhulo seema par
Veron ne hai praan ganwaye
Kuchh yaad unhein bhi kar lo
Kuchh yaad unhein bhi kar lo
Jo laut ke ghar na aaye
Jo laut ke ghar na aaye
Aye mere watan ke logon
Zara aankh mein bhar lo paani
Jo shahid hue hain unki
Zaraa yaad karo qurbani  ||2||

Tum bhul na jao unko
Isliye suno ye kahani
Jo shahid hue hain unki
Zaraa yaad karo qurbani  
Jab desh mein thi diwaali
Wo khel rahe the holi
Jab hum baithe the gharon mein ||2||
Wo jhel rahe the goli
Sangiin pe dhar kar matha
So gaye amar balidani
Jo shahid hue hain unki
Zara yaad karo qurbani

Jab ghaayal hua himalay
Khatre mein padi aazadi
Jab tak thi saans lade wo ||2||
Fir apni jaan gavadi
Jo khoon gira parvat par
Wo khoon tha hindustani
Jo shahid huye hain unki
Zara yaad karo qurbani
Koi sikh koi jaat Maratha ||2||
Koi gorkha koi madarasi ||2||
Sarhad par marne wala ||2||
Har veer tha bharatvasi

Thi khoon se lath pat kaya
Phir bhi bandhuk uthake
Dus dus ko ek ne mara
Phir gir gaye hosh ganwa ke
Jab ant samay aaya to||2||
Keh gaye ke ab marte hain
Khush rehana desh ke pyaron||2||
Ab hum to safar karte hain||2||
Kya log the wo deewane
Kya log the wo abhimani
Jo shahid huye hain unki
Zara yaad karo qurbani
Tum bhool naa jaao unko
Is liye kahi ye kahani
Jo shahid hue hain unki
Zara yaad karo qurbani
Jay hind... Jay hind ki sena
Jay hind... Jay hind ki sena
Jay hind, jay hind, jay hind

No comments:

Post a Comment